The Fear

Likh to raha hu par pata nahi koi padhega bhi ya nahi... logo k pas time kaha sb chahte hai ke kam se kam time me puri baat jaan li jaye lekin aksar hum isi jaldbazi puri baat sun aur samajh nahi pate...
Yakeen mane k jitna time mujhe likhne me lag raha hai usse kafi kam time apko padhne me lagega.. meri apse request hai aap ise padhe zarur....
Corona naam se hum sab wakif hai aur ye bhi jante hai ke desh lockdown ki maar jhel raha hai jo zaruri bhi hai 
We all are suffring from this lockdown lekin agr sbse zyada iske effect pada hai to unlogo pe jo daily kamane khane wale hai
Dane dane k mohtaaj logo ko ab iss bat ka dar hai ke hum bimari se nahi lekin bhuk se mar jayenge...
PM aur states govt k trf se koshish ki ja rahi hai k aise logo ko bharan poshan ho sake
Alag alag samaj seva me kam krne wale bhi apni puri koshish me lage hai ke koi khali pet na soye..
Fir bhi kahi na kahi kch kami ho rahi hai..
Har kisi ka pet nahi bhar pa raha hai.
Aise me unlogo ki zimmedari badh jati hai jinko upar wale dhan daulat se  dur ni rakha hai
Apne dhan ka upyog kr badle me punya kamane ka isse behtar time nahi milega aur baat srf punya ki nahi balke aane wale time me ek bhari bharkam crime activity ko bhi rok skte hai...
Ab ap soch rahe honge k ye yaar iska crime se kya connection to jo mai likhne wala hu usse padhne k bad ap bhi meri bato se kahi na kahi ittefak zarur karenge.
Sbse pehli baat k dunya me do trha ke log hai
Ek wo jo iss ummid me jeete hai k kahi na kahi se bhagwan unke liye kch intezam kr dega jo bhi unhe chahye hoga
Aur ek wo jo kch na milne pr ussi chiz ko chhinne pe utaru ho jate hai loot mar pe utaru ho jate hai...
Aur aisa krna unki majburi bhi hogi..
Kisi baap k samne uske bachche bhuke marne pe ayenge to wo apne bachcho ke liye chori dakaiti krna b shuru kr skta hai aur fir usse bachne k liye wo kisi ki jaan tak le skta hai..
Ho skta hai ye apke sath ya humare sath hi ho jaye..
Iss baat ka DAR hai k kahi 2 wakt ki roti k lobh me aise ciriminal activity badh na jaye 
Isliye ye humari duty hai k hum unki zarurto ko pura kare wrna aane wale time me loot maar jaisi vardaat badh skti hai